Teacher's Day Hindi Poem For Kids | Teachers Day Kavita

Teacher's Day Hindi Poem For Kids | Teachers Day Kavita | Hindi Poetry Of Teacher's Day Teachers Day Poem | Kavita On Teachers Day | Teachers Day Poetry For Kids | Teachers Day Poem Hindi | Poem Of Teachers Day | Bacho Ke Liye Teachers Day Poem

Aapney Banaya Hai Mujhe Is Yogya,
Ki Praapt Karoon Mai Apna Lakshya,
Diya Hai Har Samay Aapney Sahaara ,
Jab Bhi Laga Mujhey Ki Mai Haara.

Par Main Hoon Kitna Matlabi,
Yaad Kiya Na Mainey Aapko Kabhi,
Aaj Karta Hoon Dil Sey Aap Sab Ka Sammaan,
Aap Sab Ko Hai Mera Shat Shat Pranaam.

Maatayein Deti Nav Jeevan,
Pita Suraksha Karte Hain.
Lekin Sachchi Manavta,
Shikshak Jeevan Mein Bharte Hain.

Satya Nyaay Key Path Par Chalna,
Sikshak Humein Bataate Hain.
Jeevan Sangharshon Sey Ladana,
Sikshak Humein Sikhaate Hain.

Gyan Deep Ki Jyoti Jala Kar,
Mann Alokit Karte Hain.
Vidya Ka Dhan Dekar Shikshak,
Jeevan Sukh Sey Bharte Hain.

Sikshak Ishwar Sey Badh Kar Hain,
Yah Kabir Batalaate Hain.
Kyonki Shikshak Hi Bhakton Ko,
Ishwar Tak Pahunchate Hain.

Jeevan Mein Kuchh Pana Hai To,
Shikshak Ka Sammaan Karo.
Shish Jhooka Kar Shradha Se Tum,
Bachchon Unhe Parnaam Karo